Ehsaas

Chale jaa rahe the akele
Zindagi ki rah par
Na koi tha jo saath de
Na kisi ki umeed thi.

Zinda to thi main
Dil bhi dhadakta tha, lekin
Na zindagi ka ehsaas tha
Na dil ke dhadkano ka !

Bas chalna tha uss rah par
Bina ruke bina mude
RUKTE, to kiske intezaar me?!
MUDTE, to kis nayi rah me?!

Bharosa tha uss bhagwan par
Jo sabka bhala jaanta tha
Mere hisse ki khushiyan shayad
Milengi mujhe, kuch aur doorie par !

Comments

  1. ummed ke lau hamesha sapno ke sach hone ki ummed bani rahti hai neha

    ReplyDelete
  2. Arrey waah!!! ye to mast hai...Kya Ehsaas hai!!!!

    liked the 3rd stanza much rey....!!!!

    Arrey FB pe thoda busy reh gaya, so didnt chk twitter....and waise bhi FB pe hi rehta hoon...

    Anyway!!! Mast poem!!!!!!!!

    Keep writing more!!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts