Ek Din




Yunhi baithe the tumhare khayalon me, ek din
Soch rahe the kaisa hoga hamara aane waala kal
Isi beech woh hua jo hona na tha
Jisne palat kar rakh diya aane waala har pal

Ghabra rahi thi main, darr bhi tha mann me
Kya bataa dun tumhe, woh baat ?
Jo shayad ab kehna nahi chahiye tha mujhe
Der jo ho chuki thi ab bohot

Socha, kaise bataa paungi tumko yeh baat
Pyaar to kar baithi main tumse
Waade bhi kar daale saare
Lekin shaadi? Shaadi ka vaada kaise karun ?!

Hanste khelte din beete hamare
Tumse hi shuru tum par hi khatam hone lage din saare
Itne me yeh bhool gayi thi shayad
Shaadi bhi to karni padti hai pyaar karne waalon ko !

Bade asmanjass me thi main
Kaise keh dun "haan" tumko
Shaadi asaan nahi, zimmedaariyan bhi to hoti hain
Mano ya na mano, badi soch me padi thi main

Tumko kho kar kya hoga mera
Bas yahi soch kar roti thi
Lekin shaadi? Bade himmat ka kaam hai
Yeh soch kar bhi darr jaati thi !

Khud ko samjhati, khud se hi lad jaati
Kehne ko to yunhi keh deti "haan"
Par shaadi koi khel to nahi
Kehti agar, nibhana bhi to padta naa !!

Sach bolun, taiyyar nahi thi
Samjhauta hota agar "haan" keh deti
Dil aur dimaag ke asmanjass me
Thukra diya maine, tumhe aur hamari SHAADI !!

Sach kehte hain log sabhi
Dil toote to dard hota hai par aawaaz nahi
Woh jaate jaate bas ye keh gaye ki,
Agar shaadi nahi to hum saath nahi !!






P.S.:- "Asmanjass" means dilemma. And "Samjhauta" means compromise. :)

Comments

  1. u r star writer... who writes from bottom of heart... every line and word so meaningful... yr poem touch heart again...

    ReplyDelete
  2. tm itna acha writer kab se bann gye?? its good...

    ReplyDelete
  3. Awesome Poem. Waise wo "tum" kaun hain? ;)

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts