Hamare Desh Me !

Hamare desh me
logon ko gussa bohot aata hai..

Har baar jab ek brahmin ladki
kisi chhoti jaati ke ladke se pyaar kar baith-ti hai
aur fir maar kar un dono ko, ye samaj
niyam ka dhindhora peet-ta hai.

Har baar jab kisi dur-ghatna me
kisi musalman par shaq hota hai
bin baat ki jung chid jaati hai
dange-fasaad bhi hote hain.

Har baar jab koi bekasoor, badnaam aur be-izzat hoti hai
akeli ladti, roti bilakhti aur majboor hoti hai
jab koi na deta hai saath uska
lad kar, thakk kar, marr jaati hai.

Har baar yeh sab dekh kar
rongte khade ho jaate hain
hum cheekhte hain, chillate hain
mil kar awaaz uthate hain.

Iss baar bhi, ek guneh-gaar hi hai
jisne dehshat failaayi hai
woh pita tha kisi ka, jo ab na raha
kitne hi maang usne ujaadi hai.

Hum ab kyun chup hain, baithe hain
Cricket aur BiggBoss par waqt bita-te hain
KASAB ki mehman-nawazi par
kyun na awaaz uthate hain !!

Comments

  1. waah... acha hai... i hate BiggBoss...

    ReplyDelete
  2. aapki ye poem padkar gussa nahi, chehre pe ek smile aa jaati hai, ye hi aapki sabse badi kamyabi hai

    ReplyDelete
  3. kya mast lkhi hai tune toh...bohot badiya aur shaandar likhi hai aapne toh

    ReplyDelete
  4. hum aapko ye batana chahete hain ki ye panktiyaan bahut hi khubsoorat aur sachhi hai.

    ye baat to sahi hai par pata nahi kyun hume har bar jagane ki jarurat ho jati hai...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts